safed ghodon ki daud mein doudti thi ek kali ghodi (2)
daud chodkar thami ek pal sochti kyun hun mein daudi??!??
issi ghodi ki yeh kavita safalta ki vyakhya
Safal kaun hai?
Bachpan mein jo first rank laye
Jo har race mein badi trophy paye
Jo khel kud mein ho awwal
Ya jisme ho pratibha kalatmak
Akhir safal kaun hai?
Jo college mein rangaye doston ki mehfil
Jiska pehlahi pyar kare usse bhi pyaar!
Ya jo ter kare apne jeevan ka lakshya bemisal
Kaun hai safal?
Jo ikkis ki umar mein pitaji ke haath mein thame pehli tankha (2)
Jiska ho bank balance dhangka
Jiska ho khudka ghar khudki gadi
Ya jiska seena tankar le sake parivar wale nam mehfil mein bhari
Safal kaun hai?
Jo kare ma baap ki pasand se shadi
Jo paida kare bacchein 'sahi' umra mein aur phir arpit kare apna jeevan unke palan poshan mein
Jo pale samaj ka har kaha ankaha mandand
Jo career ghar aur bacchon ke bich apni khushiyon ka kare balidaan?? kya safal hai woh nadan?
Kya safalta ko zaruri hai kisi dibbe mein bithana? poori jawani kya zarurinhai uspar lutana?
Kon sala kiya asaflta ko badnaam (2)
Jhitana hee kyun hai zaruri har baar?
Kyun na ho har kisi ki kahani alag? bachpan mein sikhate apni pehchan banao aur phir pehchan ki hee kehke lete hai!!
Kyun kare hum apni khushiyon ki tulna samaj ke safalta ki vyakhya se?
Bahot hui yeh pratiyogita ki seedhiyan,
Kyun na hum banaye safalta ki ek apni hee vyakhya
Nahi banna bhai safed ghodi hum kaale hee best hai ....
daud kar kya hai pana hum tehalne mein hee mass